Search This Blog

Monday, December 5, 2011

Yaad Rakhna....

(1). Kiya hai tum ne hum se Ek waada yaad rakhna,
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna,
Ab na hamein rulana tum , ab na door jaana tum,
Pehle hi seh chuke hain dukh itne zyada yaad rakhna!!!



(2). Dil to na dukhao ge mujhe chod to na jaoge,
Dil main hi base ho tum ab isko abaad rakhna,
Tum jo chod jaoge hum to mar hi jayenge,
Tumhare dam se zindagi hai sirf itna yaad rakhna!!!



(3). Chahaton ki duniya me roshni tumhi se hai,
Dil tod kar hamein chod kar kahin na jaana�yaad rakhna!!!

No comments:

Post a Comment